gham-e-mohabbat se haar ke baitha hoon main tanhaa zamaane mein
lagao seene suhkan-varon main bhi ab hoon is aashiyaane mein
tumhein raza ho gai agar meri mujh se milne ke kaaran aa
talash karna meri mujhe dhoondhna tu baada ke khaane mein
tumhein kabhi jaanna munaasib nahin laga poochna to tha
hain kaun mere sukhun kiye nazm ya ghazal ke fasaane mein
aa jaao bhi intizaar karte hain aao bhi pyaar karte hain
khuda kare na na der ho jaaye saath tum ko nibhaane mein
azziyyat-e-gham do ham ko mat ehsaas hone khushi ka do
rakho na koi kasar hamein is jamaane mein aazmaane mein
ग़म-ए-मुहब्बत से हार के बैठा हूँ मैं तन्हा ज़माने में
लगाओ सीने सुख़न-वरों मैं भी अब हूँ इस आशियानें में
तुम्हें रज़ा हो गई अगर मेरी मुझ से मिलने के कारन आ
तलाश करना मिरी मुझे ढूँढना तू बादा के खाने में
तुम्हें कभी जानना मुनासिब नहीं लगा, पूछना तो था
हैं कौन मेरे सुख़न किए नज़्म या ग़ज़ल के फ़साने में
आ जाओ भी इंतिज़ार करते हैं आओ भी प्यार करते हैं
ख़ुदा करे ना, ना देर हो जाए साथ तुम को निभाने में
अज़िय्यत-ए-ग़म दो हम को मत एहसास होने ख़ुशी का दो
रखो ना कोई कसर हमें इस जमाने में आज़माने में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deep kamal panecha
our suggestion based on Deep kamal panecha
As you were reading Khushi Shayari Shayari