ye abr jo chhaaye hue hain jaan-e-jaan
furqat meri laaye hue hain jaan-e-jaan
laaye hain aab-e-ishq azbas aur ham
ulfat mein murjhaaye hue hain jaan-e-jaan
ik shay sukoon ki neend vo bhi to mili na
sapne tire aaye hue hain jaan-e-jaan
ham muntazir baithe hain teri deed ke
sad aap itraaye hue hain jaan-e-jaan
jeena saral hoga bina uljhan ke so
khud dil ko uljhaaye hue hain jaan-e-jaan
ये अब्र जो छाए हुए हैं जान-ए-जाँ
फ़ुर्क़त मिरी लाए हुए हैं जान-ए-जाँ
लाए हैं आब-ए-इश्क़ अज़बस और हम
उल्फ़त में मुरझाए हुए हैं जान-ए-जाँ
इक शय सुकूँ की नींद, वो भी तो मिली न
सपने तिरे आए हुए हैं जान-ए-जाँ
हम मुंतज़िर बैठे हैं तेरी दीद के
सद आप इतराए हुए हैं जान-ए-जाँ
जीना सरल होगा बिना उलझन के सो
ख़ुद दिल को उलझाए हुए हैं जान-ए-जाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deep kamal panecha
our suggestion based on Deep kamal panecha
As you were reading Sukoon Shayari Shayari