lagta hain yun ke ab saare zakhm bhar gaye hain | लगता हैं यूँ के अब सारे ज़ख़्म भर गए हैं - Deep kamal panecha

lagta hain yun ke ab saare zakhm bhar gaye hain
mujh mein thehrne waale mujh se guzar gaye hain

koi ghazal nahin koi nazm sher bhi nahin
jazbaati dard saare hum se mukar gaye hain

aaye the apna vo taaim paas karne khaatir
unka gaya hain kya hum hain jo bikhar gaye hain

hain darmiyaan hamaare hain dastaan ye kaisi
ik aisi dastaan ho hum jismein mar gaye hain

mujh ko to rona bhi aata hain nahin mere dil
baaki sabhi ke gham ashkon mein utar gaye hain

hum aapse jo milne aaye hamaare dil mein
ik aap hain jo rab jaane ke kidhar gaye hain

rahte the ho rahoge is dil mein tum hamaare
vo hum hi hain jo tere dil se utar gaye hain

tum dhundhte kahaan firte ho sukoon jahaan mein
hum dhoondne sukhnavar ki raah par gaye hain

hum ko jahaan-jahaan ki milne ki di naseehat
haan hum wahaan-wahaan us gah us ke ghar gaye hain

laali labon ki mere aage raqeeb ke liye
jee aap to mere lohoo se sanwar gaye hain

ab koi hum se jab pooche haal bhi hamaara
kahte hain deep jeete jee rab ke ghar gaye hain

लगता हैं यूँ के अब सारे ज़ख़्म भर गए हैं
मुझ में ठहरने वाले मुझ से गुज़र गए हैं

कोई ग़ज़ल नहीं कोई नज़्म शेर भी नहीं
जज़्बाती दर्द सारे हम से मुकर गए हैं

आए थे अपना वो टाइम पास करने ख़ातिर
उनका गया हैं क्या हम हैं जो बिखर गए हैं

हैं दरमियाँ हमारे हैं दास्ताँ ये कैसी
इक ऐसी दास्ताँ हो हम जिसमें मर गए हैं

मुझ को तो रोना भी आता हैं नहीं मिरे दिल
बाकी सभी के ग़म अश्कों में उतर गए हैं

हम आपसे जो मिलने आए हमारे दिल में
इक आप हैं जो रब जाने के किधर गए हैं

रहते थे हो रहोगे इस दिल में तुम हमारे
वो हम ही हैं जो तेरे दिल से उतर गए हैं

तुम ढूँढते कहाँ फिरते हो सुकूँ जहाँ में
हम ढूँढने सुख़नवर की राह पर गए हैं

हम को जहाँ-जहाँ की मिलने की दी नसीहत
हाँ हम वहाँ-वहाँ उस गह उस के घर गए हैं

लाली लबों की मेरे आगे रक़ीब के लिए
जी आप तो मिरे लोहू से सँवर गए हैं

अब कोई हम से जब पूछे हाल भी हमारा
कहते हैं "दीप" जीते जी रब के घर गए हैं

- Deep kamal panecha
1 Like

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deep kamal panecha

As you were reading Shayari by Deep kamal panecha

Similar Writers

our suggestion based on Deep kamal panecha

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari