zakhamon ko pee sharaaben haraa karte hain
phir hare zakhamon se bhi maza karte hain
pal mein hi pal hazaaro jiya karte hain
log jo may-kade mein piya karte hain
aise hi zindagi ki dava karte hain
karte karte ajal se mila karte hain
duniya ki baaton ko an-suna karte hain
apnon ko bhi kabhi to khafa karte hain
ab talak ham kisi ko bhula bhi saken na
vaaste ve bhulaane ke kya karte hain
ham hain ik daudte hain jo unki taraf
ik vo hain door ham se fira karte hain
ik sadaqat hain shaair isee duniya ke
zarre-zarre se chaahat kiya karte hain
yaadein vaade naseehat haqeeqat kasak
ye sukhan-var sukhun mein siya karte hain
khoobsurat badan unka kya hi bayaan
laakhon dil rehan unki raha karte hain
jeena hain kya kab kahaan jeena hain
ye sabhi tajarbe saanehaa karte hain
ज़ख़्मों को पी शराबें हरा करते हैं
फिर हरे ज़ख़्मों से भी मज़ा करते हैं
पल में ही पल हज़ारो जिया करते हैं
लोग जो मय-कदे में पिया करते हैं
ऐसे ही ज़िन्दगी की दवा करते हैं
करते करते अजल से मिला करते हैं
दुनिया की बातों को अन-सुना करते हैं
अपनों को भी कभी तो खफ़ा करते हैं
अब तलक हम किसी को भुला भी सकें न
वास्ते वे भुलाने के क्या करते हैं
हम हैं इक दौड़ते हैं जो उनकी तरफ
इक वो हैं दूर हम से फिरा करते हैं
इक सदाक़त हैं शाइर इसी दुनिया के
जर्रे-जर्रे से चाहत किया करते हैं
यादें वादे नसीहत हक़ीक़त कसक
ये सुख़न-वर, सुख़न में सिया करते हैं
ख़ूबसूरत बदन उनका क्या ही बयाँ
लाखों दिल रेहन उनकी रहा करते हैं
जीना हैं क्या कब कहाँ जीना हैं
ये सभी तजरबे सानेहा करते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deep kamal panecha
our suggestion based on Deep kamal panecha
As you were reading Masti Shayari Shayari