aap jeete jee din mahshar ke dekhiye saahib
hijr mein pade is shaair ke dekhiye saahib
ishq pyaar chaahat jazbaat ka samandar hain
aap is samandar ko dar ke dekhiye saahib
aap ek dam bhi paani nahin hi maangega
un haseen aankhon mein mar ke dekhiye saahib
noor aftaabi bhi feeka pad hi jaayega
noor mere dilbar ke sar ke dekhiye saahib
zindagi ki lazzat ka aapko bhi hoga pata
aap bas jee jee ke mar mar ke dekhiye saahib
jaan di dil diya maine phir bhi maane na zaalim
aur kya to ab badtar ke dekhiye saahib
tod ke mera dil kahte hua nahin kuchh bhi
fan to aap mere dilbar ke dekhiye saahib
zindagi se nafrat ho aapko bhi jaayegi
ik dafa muhabbat to kar ke dekhiye saahib
usne mere tarkash se mujh pe teer daaga hain
ab to jalwe mere patthar ke dekhiye saahib
jannati dareechon se aapko lagenge kuchh
tuk dariche saajan ke ghar ke dekhiye saahib
kya to dekhten ho dukh dard mera baahar se
ik nazar to mere andar ke dekhiye saahib
आप जीते जी दिन महशर के देखिए साहिब
हिज्र में पड़े इस शाइर के देखिए साहिब
इश्क़ प्यार चाहत जज़्बात का समंदर हैं
आप इस समंदर को डर के देखिए साहिब
आप एक दम भी पानी नहीं ही माँगेगे
उन हसीन आँखों में मर के देखिए साहिब
नूर अफ़ताबी भी फीका पड़ ही जाएगा
नूर मेरे दिलबर के सर के देखिए साहिब
ज़िन्दगी की लज़्ज़त का आपको भी होगा पता
आप बस जी जी के मर मर के देखिए साहिब
जाँ दी दिल दिया मैंने फिर भी माने ना ज़ालिम
और क्या तो अब बदतर के देखिए साहिब
तोड़ के मिरा दिल कहते हुआ नहीं कुछ भी
फन तो आप मेरे दिलबर के देखिए साहिब
ज़िन्दगी से नफरत हो आपको भी जाएगी
इक दफ़ा मुहब्बत तो कर के देखिए साहिब
उसने मेरे तरकश से मुझ पे तीर दागा हैं
अब तो जल्वे मेरे पत्थर के देखिए साहिब
जन्नती दरीचों से आपको लगेंगे कुछ
टुक दरीचे साजन के घर के देखिए साहिब
क्या तो देखतें हो दुख दर्द मेरा बाहर से
इक नज़र तो मेरे अंदर के देखिए साहिब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deep kamal panecha
our suggestion based on Deep kamal panecha
As you were reading haseen Shayari Shayari