ham-nafs ham-nawaan hum-safar bhi nahin
dil kahaan lag raha apne ghar bhi nahin
hijr ke waqt pe aankh tar bhi nahin
mud ke dekha use aankh bhar bhi nahin
raah jis par chale ham musalsal chale
be-khabar the vo jaati basar bhi nahin
koh par se rahe taakte maykada
door koson dikha ik shehar bhi nahin
us ko dekha hain mansoob hote hue
aaj tak dil se nikla zehar bhi nahin
sab ne to deep ko samjha adnaa hi tha
kyun magar aayi uski lehar bhi nahin
हम-नफ़स हम-नवाँ हम-सफ़र भी नहीं
दिल कहाँ लग रहा अपने घर भी नहीं
हिज्र के वक़्त पे आँख तर भी नहीं
मुड़ के देखा उसे आँख भर भी नहीं
राह जिस पर चले हम, मुसलसल चले
बे-ख़बर थे, वो जाती बसर भी नहीं
कोह पर से रहे ताकते मयकदा
दूर कोसों दिखा इक शहर भी नहीं
उस को देखा हैं मंसूब होते हुए
आज तक दिल से निकला ज़हर भी नहीं
सब ने तो "दीप" को समझा अदना ही था
क्यों मग़र, आई उसकी लहर भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deep kamal panecha
our suggestion based on Deep kamal panecha
As you were reading Raasta Shayari Shayari