ghazal hoti na gar ham jaan se jaate
nikalta aankhon se khooon shaan se jaate
mila hai aish tum ko zulm kar ke yaa
muhabbat karte to gul-daan se jaate
wafa ki be-wafa ho sakte the ham bhi
jo hote apne phir eimaan se jaate
abhi hai hausla kuchh baqi jeene ka
nahin hota to phir aasaan se jaate
sambhal ke chalna aata hota gar ham ko
haseen phir zindagi ke nuksaan se jaate
ग़ज़ल होती न गर हम जान से जाते
निकलता आँखों से खूँ शान से जाते
मिला है ऐश तुम को ज़ुल्म कर के याँ
मुहब्बत करते तो गुल-दान से जाते
वफ़ा की बे-वफ़ा हो सकते थे हम भी
जो होते अपने फिर ईमान से जाते
अभी है हौसला कुछ बाक़ी जीने का
नहीं होता तो फिर आसान से जाते
सँभल के चलना आता होता गर हम को
हसीं फिर ज़ीस्त के नुकसान से जाते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deep kamal panecha
our suggestion based on Deep kamal panecha
As you were reading Zindagi Shayari Shayari