zehar kha ke ham bhi shaayad sukoon se so jaate | ज़हर खा के हम भी शायद सुकूँ से सो जाते

  - Deep kamal panecha

zehar kha ke ham bhi shaayad sukoon se so jaate
phir kahi alag duniya mein alag hi kho jaate

achha hi kiya hain tu ne hamein juda kar ke
ham tabaah hain hi barbaad tum bhi ho jaate

qatl kar ke tum ham ko ek baar kahte to
marte marte tere aanchal ke dhabbe dho jaate

ham ko itni jaldi na thi jahaan se rukhsat ki
vo khuda bulaate jab ham ko tab hi to jaate

aur kuchh karein ham ya na karein yun to karte
apne bacchon mein bas eemaani beej bo jaate

ham yakeen kar lete aapka bhi ai qaatil
jaate jaate pahluu mein ik dafa to ro jaate

ज़हर खा के हम भी शायद सुकूँ से सो जाते
फिर कहीं अलग दुनिया में अलग ही खो जाते

अच्छा ही किया हैं तू ने हमें जुदा कर के
हम तबाह हैं ही बरबाद तुम भी हो जाते

क़त्ल कर के तुम हम को एक बार कहते तो
मरते मरते तेरे आँचल के धब्बे धो जाते

हम को इतनी जल्दी ना थी जहाँ से रुख़सत की
वो ख़ुदा बुलाते जब हम को तब ही तो जाते

और कुछ करें हम या ना करें यूँ तो करते
अपने बच्चों में बस ईमानी बीज बो जाते

हम यकीन कर लेते आपका भी ऐ क़ातिल
जाते जाते पहलू में इक दफ़ा तो रो जाते

  - Deep kamal panecha

Broken Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deep kamal panecha

As you were reading Shayari by Deep kamal panecha

Similar Writers

our suggestion based on Deep kamal panecha

Similar Moods

As you were reading Broken Shayari Shayari