rukh hawaon ka toofanon ka mod chalte hain
ishq waale duniya ki rasmen tod chalte hain
haaye shaayri karna itna sahal thodi hai
maut se ye shaair khud ko hi jod chalte hain
kitne gham mile hain mujh ko sabhi ka dil rakh ke
sab ke dil ko jo khush rahte hain tod chalte hain
to hamaare nazdeeki ho gaye juda ham se
to ye zindagaani phir ham bhi chhod chalte hain
ruksati se pehle daaman pe jaanaan ke ae deep
apni aankhon ke saare gham nichod chalte hain
रुख़ हवाओं का तूफ़ानों का मोड़ चलते हैं
इश्क़ वाले दुनिया की रस्में तोड़ चलते हैं
हाए शाइरी करना इतना सहल थोड़ी है
मौत से ये शाइर ख़ुद को ही जोड़ चलते हैं
कितने ग़म मिले हैं मुझ को सभी का दिल रख के
सब के दिल को, जो ख़ुश रहते हैं तोड़ चलते हैं
तो हमारे नज़दीकी हो गए जुदा हम से
तो ये ज़िंदगानी फिर हम भी छोड़ चलते हैं
रुख़्सती से पहले दामन पे जानाँ के ए "दीप"
अपनी आँखों के सारे ग़म निचोड़ चलते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deep kamal panecha
our suggestion based on Deep kamal panecha
As you were reading Gham Shayari Shayari