bachpan mein gar patthar ban jaata shaayad | बचपन में गर पत्थर बन जाता शायद - Shashvat dev

bachpan mein gar patthar ban jaata shaayad
khud se thoda behtar ban jaata shaayad

tujhko takte raatein jitni kaateen thi
unmein padhkar afsar ban jaata shaayad

qismat hai ke shayar bankar zinda hain
danaai mein banjar ban jaata shaayad

jis kamre mein tanhaa hain pardes pade
maa hoti to ye ghar ban jaata shaayad

बचपन में गर पत्थर बन जाता शायद
ख़ुद से थोड़ा बेहतर बन जाता शायद

तुझको तकते रातें जितनी काटीं थी
उनमें पढ़कर अफसर बन जाता शायद

क़िस्मत है के शायर बनकर ज़िंदा हैं
दानाई में बंजर बन जाता शायद

जिस कमरे में तन्हा हैं परदेस पड़े
माँ होती तो ये घर बन जाता शायद

- Shashvat dev
1 Like

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shashvat dev

As you were reading Shayari by Shashvat dev

Similar Writers

our suggestion based on Shashvat dev

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari