galat tum bhi ho sakte ho kabhi dekho
kisi aaine mein jaao kabhi dekho
sikhaata amn har ik dharm jab yaaron
use padhkar mohabbat ko kabhi dekho
watan ki shaan mein mar mitne ko taiyaar
qasam mitti ki dekar to kabhi dekho
ubharte jhooth ke bazaar mein thoda
khuli aankhon se sacchon ko kabhi dekho
thi itni khoobsurat dekhta rehta
vo bhi kahti kabhi bolo kabhi dekho
ग़लत तुम भी हो सकते हो कभी देखो
किसी आईने में जाओ कभी देखो
सिखाता अम्न हर इक धर्म जब यारों
उसे पढ़कर मोहब्बत को कभी देखो
वतन की शान में मर मिटने को तैयार
क़सम मिट्टी की देकर तो कभी देखो
उभरते झूठ के बाज़ार में थोड़ा
खुली आँखों से सच्चों को कभी देखो
थी इतनी ख़ूबसूरत देखता रहता
वो भी कहती कभी बोलो कभी देखो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by "Dharam" Barot
our suggestion based on "Dharam" Barot
As you were reading Patriotic Shayari Shayari