yahi hai vaasta baarish ka ashkon se mere yaar | यही है वास्ता बारिश का अश्कों से मेरे यार

  - "Dharam" Barot

yahi hai vaasta baarish ka ashkon se mere yaar
kabhi to aate hai jarmar kabhi to mooslaadhaar

hamaare shauq mein shaamil use bhi achhi lagti
hamein so chahiye ik car badhiya si vo bhi thaar

nahin lagana hai achha koi bhi tere alaava
tere jaisa kabhi kar paayega mujhse koi pyaar

naya hai din saleeqaa bhi naya so aap bhi ab
puraani ranjishe sab chhod kar ho jaao taiyaar

khushi ko dekh chehre par ye andaaza lagaaye
ziyaada hi hua hai gham se is bande ko jee pyaar

kapal mein coffee peene ka maza kuchh aur tha par
ziyaada tha maza jab chaai par the yaar ham chaar

pade the ladne mein ham dal mein jab ik doosre se
ye mauqa dekh pahna teesre ne jeet ka haar

यही है वास्ता बारिश का अश्कों से मेरे यार
कभी तो आते है जरमर कभी तो मूसलाधार

हमारे शौक़ में शामिल उसे भी अच्छी लगती
हमें सो चाहिए इक कार बढ़िया सी वो भी थार

नहीं लगना है अच्छा कोई भी तेरे अलावा
तेरे जैसा कभी कर पाएगा मुझसे कोई प्यार

नया है दिन सलीक़ा भी नया सो आप भी अब
पुरानी रंजिशे सब छोड़ कर हो जाओ तैयार

ख़ुशी को देख चेहरे पर ये अंदाज़ा लगाए
ज़ियादा ही हुआ है ग़म से इस बंदे को जी प्यार

कपल में कॉफी पीने का मज़ा कुछ और था पर
ज़ियादा था मज़ा जब चाय पर थे यार हम चार

पड़े थे लड़ने में हम दल में जब इक दूसरे से
ये मौक़ा देख पहना तीसरे ने जीत का हार

  - "Dharam" Barot

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by "Dharam" Barot

As you were reading Shayari by "Dharam" Barot

Similar Writers

our suggestion based on "Dharam" Barot

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari