mere college mein ik aisi ladki hai
jo mere khaabo mein aaya karti hai
uski aankhon me do jheelein thehri hain
aur vo hansati hai to baarish hoti hai
is aaft mein bhookh se marna theek nahin
isse aage bas maula ki marzi hai
main us se baatein karne ko marta hoon
aur vo mujhse ukhdi-ukhdi rahti hai
mera dukh hai mere bacche bhookhe hain
aur meri thaali mein ek hi roti hai
ishq ar daulat mein kaante ki takkar hai
dekhna ye hai ab vo kisko chuntee hai
us ladke se door rahe to achha hai
baaki to bas aage uski marzi hai
मेरे कॉलज में इक ऐसी लड़की है
जो मेरे ख़्वाबों में आया करती है
उसकी आँखों मे दो झीलें ठहरी हैं
और वो हँसती है तो बारिश होती है
इस आफ़त में भूख से मरना ठीक नहीं
इससे आगे बस मौला की मर्ज़ी है
मैं उस से बातें करने को मरता हूँ
और वो मुझसे उखड़ी-उखड़ी रहती है
मेरा दुःख है मेरे बच्चे भूखे हैं
और मेरी थाली में एक ही रोटी है
इश्क़ अर दौलत में कांटे की टक्कर है
देखना ये है अब वो किसको चुनती है
उस लड़के से दूर रहे तो अच्छा है
बाकी तो बस आगे उसकी मर्ज़ी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shadab Asghar
our suggestion based on Shadab Asghar
As you were reading Ibaadat Shayari Shayari