hue hain jab se ghaaeb khwaab aankhon se
nazar aata hoon main be-taab aankhon se
dara saka nahin toofaan hamein koi
ke dekhe hain kai sailaab aankhon se
khizaan ne jo ujaada hai chaman mera
khuda kar de use shaadaab aankhon se
ruke ashkon ka ik taalaab hai mujh mein
nikal jaaye wahi taalaab aankhon se
bataate hain yahi taarif mein uski
hamaara yaar hai naayaab aankhon se
tere haathon piye paani se bhi saaqi
nazar aaye kai mahtaab aankhon se
हुए हैं जब से ग़ाएब ख़्वाब आँखों से
नज़र आता हूँ मैं बे-ताब आँखों से
डरा सकता नहीं तूफ़ाँ हमें कोई
के देखे हैं कई सैलाब आँखों से
ख़िज़ाँ ने जो उजाड़ा है चमन मेरा
ख़ुदा कर दे उसे शादाब आँखों से
रुके अश्कों का इक तालाब है मुझ में
निकल जाए वही तालाब आँखों से
बताते हैं यही तारीफ़ में उसकी
हमारा यार है नायाब आँखों से
तेरे हाथों पिए पानी से भी साक़ी
नज़र आए कई महताब आँखों से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by M R CHAUHAN
our suggestion based on M R CHAUHAN
As you were reading Environment Shayari Shayari