bane sanjog kuchh aisa kisi pur-shaad dar pahunchen
bachi hai ek gudiya jo ki ye bhi apne ghar pahunchen
guzaari umr hai saari fate kapde pahan kar ke
ye ladki jab vida sasuraal ho to ban-sanwar pahunchen
jigar darta nahin mera kisi bhi aire-ghaire se
jahaan bhi hai mera qaatil ki us tak ye khabar pahunchen
idhar to lag chuki hai aag is dil mein muhabbat ki
yahi aatish muhabbat ki mere maula udhar pahunchen
bhatk rasta gaya hoon manzilon tak main pahunchne ka
kahi se aaye koi rehnuma ya raahbar pahunchen
safar katata nahin tanhaai ki ungli pakad ke ab
ki chhoote jaan akeleypan se jo ik hum-safar pahunchen
बने संजोग कुछ ऐसा किसी पुर-शाद दर पहुँचे
बची है एक गुड़िया जो कि ये भी अपने घर पहुँचे
गुज़ारी उम्र है सारी फटे कपड़े पहन कर के
ये लड़की जब विदा ससुराल हो तो बन-सँवर पहुँचे
जिगर डरता नहीं मेरा किसी भी ऐरे-ग़ैरे से
जहाँ भी है मिरा क़ातिल कि उस तक ये ख़बर पहुँचे
इधर तो लग चुकी है आग इस दिल में मुहब्बत की
यही आतिश मुहब्बत की मिरे मौला उधर पहुँचे
भटक रस्ता गया हूँ मंज़िलों तक मैं पहुँचने का
कहीं से आए कोई रहनुमा या राहबर पहुँचे
सफ़र कटता नहीं तन्हाई की उँगली पकड़ के अब
कि छूटे जाँ अकेलेपन से जो इक हम-सफ़र पहुँचे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohit Subran
our suggestion based on Mohit Subran
As you were reading Dil Shayari Shayari