ghutan mein jee rahe hain aadmi khidki nahin milti
hue hain shahr sab bhatti hawa thandi nahin milti
asar sarmaayaadari ka hua bazaar pe yun hai
hamaare des mein hi cheez ab desi nahin milti
kahi dil to kahi pe lams apna chhod aayi hai
yahan pe koi bhi ladki mukammal hi nahin milti
dikhega haath mein jab kuchh tabhi kuchh haath aayega
agar jo haath khaali hon to kaudi bhi nahin milti
lagana jaan tak ka daanv padta hai muhabbat mein
muhabbat aur cheezon ki tarah sasti nahin milti
dikha tezaab ki bottle tu dhamkaata hai ladki ko
abe ullu ye ulfat yun zabardasti nahin milti
mukammal zindagi dushwaariyon ko dhona padta hai
bhala aise yun aasaani se aasaani nahin milti
hai aakhir-kaar mil jaata koi to hum-safar sab ko
magar sab ko muhabbat saahibo pehli nahin milti
घुटन में जी रहे हैं आदमी खिड़की नहीं मिलती
हुए हैं शह्र सब भट्टी हवा ठंडी नहीं मिलती
असर सरमायादारी का हुआ बाज़ार पे यूँ है
हमारे देस में ही चीज़ अब देसी नहीं मिलती
कहीं दिल तो, कहीं पे लम्स अपना छोड़ आयी है
यहाँ पे कोई भी लड़की मुकम्मल ही नहीं मिलती
दिखेगा हाथ में जब कुछ तभी कुछ हाथ आएगा
अगर जो हाथ ख़ाली हों तो कौड़ी भी नहीं मिलती
लगाना जान तक का दाँव पड़ता है मुहब्बत में
मुहब्बत और चीज़ों की तरह सस्ती नहीं मिलती
दिखा तेज़ाब की बोतल तू धमकाता है लड़की को
अबे उल्लू ये उल्फ़त यूँ ज़बरदस्ती नहीं मिलती
मुकम्मल ज़िन्दगी दुश्वारियों को ढोना पड़ता है
भला ऐसे यूँ आसानी से आसानी नहीं मिलती
है आख़िर-कार मिल जाता कोई तो हम-सफ़र सब को
मगर सब को मुहब्बत साहिबो पहली नहीं मिलती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohit Subran
our suggestion based on Mohit Subran
As you were reading Khushboo Shayari Shayari