jee sakunga nahin main teri muhabbat ke baghair | जी सकूँगा नहीं मैं तेरी मुहब्बत के बग़ैर

  - Mukesh Jha

jee sakunga nahin main teri muhabbat ke baghair
jaise gul khil hi nahin sakte sabahat ke baghair

vo zamaana gaya jab ishq khuda hota tha
ab koi karta nahin ishq tijaarat ke baghair

kaise haasil ho kisi ko bhi jahaan mein taabeer
ye to mumkin hi nahin teri inaayat ke baghair

ye zameen ishq ki mumkin hai ki daldal nikle
paanv mat rakhna kabhi meri hidaayat ke baghair

mujhse jitni bhi shikaayat hai tumhein kah daalo
ishq pe chadhta nahin rang shikaayat ke baghair

ahmiyat kaise samajhta vo muhabbat mein meri
usko haasil ho gaya tha main zaroorat ke baghair

जी सकूँगा नहीं मैं तेरी मुहब्बत के बग़ैर
जैसे गुल खिल ही नहीं सकते सबाहत के बग़ैर

वो ज़माना गया जब इश्क़ ख़ुदा होता था
अब कोई करता नहीं इश्क़ तिजारत के बग़ैर

कैसे हासिल हो किसी को भी जहाँ में ताबीर
ये तो मुमकिन ही नहीं तेरी इनायत के बग़ैर

ये ज़मीं इश्क़ की मुमकिन है कि दलदल निकले
पाँव मत रखना कभी मेरी हिदायत के बग़ैर

मुझसे जितनी भी शिकायत है तुम्हें, कह डालो
इश्क़ पे चढ़ता नहीं रंग शिकायत के बग़ैर

अहमियत कैसे समझता वो मुहब्बत में मेरी
उसको हासिल हो गया था मैं ज़रूरत के बग़ैर

  - Mukesh Jha

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mukesh Jha

As you were reading Shayari by Mukesh Jha

Similar Writers

our suggestion based on Mukesh Jha

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari