hukmraanon pe sher kahte ho | हुक्मरानों पे शेर कहते हो?

  - Neeraj Naveed

hukmraanon pe sher kahte ho
kaise logon pe sher kahte ho

teergi badh rahi thi tab chup the
ab charaagon pe sher kahte ho

qaid rakhte ho unko pinjare mein
aur parindon pe sher kahte ho

tum zameen ke to ho nahin paaye
aasmaanon pe sher kahte ho

kaat dale darqat saare ab
saayebaanon pe sher kahte ho

chand sikko mein bechkar eimaan
ab usoolon pe sher kahte ho

vo saraapa hi husn hai neeraj
tum bas aankhon pe sher kahte ho

हुक्मरानों पे शेर कहते हो?
कैसे लोगों पे शेर कहते हो

तीरगी बढ़ रही थी तब चुप थे
अब चराग़ों पे शेर कहते हो?

क़ैद रखते हो उनको पिंजरे में
और परिंदों पे शेर कहते हो?

तुम ज़मीं के तो हो नहीं पाए!
आसमानों पे शेर कहते हो?

काट डाले दरख़्त सारे अब
साएबानों पे शेर कहते हो?

चंद सिक्कों में बेचकर ईमान
अब उसूलों पे शेर कहते हो?

वो सरापा ही हुस्न है 'नीरज'
तुम बस आँखों पे शेर कहते हो?

  - Neeraj Naveed

Gunaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Neeraj Naveed

As you were reading Shayari by Neeraj Naveed

Similar Writers

our suggestion based on Neeraj Naveed

Similar Moods

As you were reading Gunaah Shayari Shayari