sadaqat chhupaane ki zid par arde the
ye vo log the jo ki sab mein bade the
kahi se bhi sangat na chhooti araazil
tabhi to mulaazim ke sar pe khade the
vasiyat ki laalach mein jalte rahe ghar
suna hai bade ghar ke bacche lade the
zameen ki satah se ye mitti mili bas
asal mein khazaane to neeche gadde the
shajar ek aansu se kaata gaya tha
do aangan me shaakhon se patte jhade the
masaafi ki talwaar jis din chali thi
waziroon ke sar sab se aage pade the
badi jaldabaazi mein laashein chhupa deen
ki jaise kafan mein sitaare jade the
सदाक़त छुपाने कि ज़िद पर अड़े थे
ये वो लोग थे जो कि सब में बड़े थे
कहीं से भी संगत न छूटी, अराज़िल
तभी तो मुलाज़िम के सर पे खड़े थे
वसीयत कि लालच में जलते रहे घर
सुना है बड़े घर के बच्चे लड़े थे
ज़मीं की सतह से ये मिट्टी मिली बस
असल में ख़ज़ाने तो नीचे गड़े थे
शजर एक आँसू से काटा गया था
दो आँगन मे शाख़ों से पत्ते झड़े थे
मसाफ़ी कि तलवार जिस दिन चली थी
वज़ीरों के सर सब से आगे पड़े थे
बड़ी जल्दबाज़ी में लाशें छुपा दीं
कि जैसे कफ़न में सितारे जड़े थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nikhil Tiwari 'Nazeel'
our suggestion based on Nikhil Tiwari 'Nazeel'
As you were reading Sad Shayari Shayari