kisi ki aankh ke taare kisi ke maah-paare the | किसी की आँख के तारे, किसी के माह-पारे थे - Prasoon

kisi ki aankh ke taare kisi ke maah-paare the
kisi ki naa-mukammal si ghazal ke istiyaare the

hawa ne naam kis ka ret par ab ke ukera hai
bagoolon ki zubaan pe kal talak kisse hamaare the

ghatta ke hont par aayi meri aahon ki garjan thi
chhato ki aankh se girte meri ashkon ke dhaare the

fazaa ne hasr बरपाया,ख़िज़ाँ ne ashq-baari ki
falq ke jism ko chhoote zameenon ke gubaare the

bhatkte dar-b-dar yaan-waan hue the khaak-aalooda
bahaal-e-sag tire kooche mein hum ne din guzaare the

sar-e-sehra gire thak kar to basti ka khyaal aaya
badi turfa jagah thi vo bade turfa nazare the

hamaare dil ke ik kone mein thi शादाबियाँ,वाँ par
faqat hasti tumhaari थी,faqat jalwe tumhaare the

nazar ke saamne chehra tumhaara था,लगा jaise
jahaan sookhi hui dharti wahin par abr-paare the

samandar ki nigaahon mein faqat wus'at thi duniya ki
nadi ke khwaab mein aate samandar ke kinaare the

किसी की आँख के तारे, किसी के माह-पारे थे
किसी की ना-मुकम्मल सी ग़ज़ल के इस्तियारे थे

हवा ने नाम किस का रेत पर अब के उकेरा है
बगूलों की ज़ुबाँ पे कल तलक किस्से हमारे थे

घटा के होंठ पर आई मिरी आहों की गर्जन थी
छतों की आँख से गिरते मिरी अश्कों के धारे थे

फ़ज़ा ने हस्र बरपाया,ख़िज़ाँ ने अश्क़-बारी की
फ़लक़ के जिस्म को छूते ज़मीनों के ग़ुबारे थे

भटकते दर-ब-दर याँ-वाँ हुए थे ख़ाक-आलूदा
बहाल-ए-सग तिरे कूचे में हम ने दिन गुज़ारे थे

सर-ए-सहरा गिरे थक कर तो बस्ती का ख़याल आया
बड़ी तुर्फ़ा जगह थी वो बड़े तुर्फ़ा नज़ारे थे

हमारे दिल के इक कोने में थी शादाबियाँ,वाँ पर
फ़क़त हस्ती तुम्हारी थी,फ़क़त जल्वे तुम्हारे थे

नज़र के सामने चेहरा तुम्हारा था,लगा जैसे
जहाँ सूखी हुई धरती वहीं पर अब्र-पारे थे

समन्दर की निगाहों में फ़क़त वुस'अत थी दुनिया की
नदी के ख़्वाब में आते समन्दर के किनारे थे

- Prasoon
0 Likes

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prasoon

As you were reading Shayari by Prasoon

Similar Writers

our suggestion based on Prasoon

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari