hai wahi kashti puraani hai wahi dariya mera
jis pe tu aane na paaya hai wahi rasta mera
main meri masrufiyat se tang aa jaata hoon dost
mujh ko seene se laga ke waqt kar zaaya mera
apni vehshat ka taqaza dhoondhta hoon dar-b-dar
le gaya hai kohkan jis roz se tesha mera
yaad kar कूचा-नवर्दी,yaad kar ulfat ke din
yaad kar baatein meri aur yaad kar chehra mera
jab hawaaein thak gaeein theen koshishein kar dasht mein
ret tab raksaan hui thi choom kar saaya mera
baarishon ko mausamon ka khel sab kahte hain par
ro pade the abr-paare jaan kar qissa mera
aankh vo hansati rahi to khil uthe sukhe gulaab
aankh vo rone lagi to ro pada sehra mera
khusrawan-e-shehr main ho jaaunga ik lams se
aur faqat ik deed se bhar jaayega qaasa mera
main kitaabon ke jahaan ka ek khushqismat kitaab
naav bacchon ne banaya faad kar safha mera
us nazar ko khwahishon ka shauq de mera khyaal
us jabeen ko raushni deta rahe bosa mera
main musalsal band karta hoon magar phir dam-b-dam
yaad uski kholti jaati hai darwaaza mera
है वही कश्ती पुरानी है वही दरिया मेरा
जिस पे तू आने न पाया है वही रस्ता मेरा
मैं मिरी मसरूफ़ियत से तंग आ जाता हूँ दोस्त
मुझ को सीने से लगा के वक़्त कर ज़ाया मेरा
अपनी वहशत का तक़ाज़ा ढूंढता हूँ दर-ब-दर
ले गया है कोहकन जिस रोज़ से तेशा मेरा
याद कर कूचा-नवर्दी,याद कर उल्फ़त के दिन
याद कर बातें मेरी और याद कर चेहरा मेरा
जब हवाएँ थक गईं थीं कोशिशें कर दश्त में
रेत तब रक्साँ हुई थी चूम कर साया मेरा
बारिशों को मौसमों का खेल सब कहते हैं पर
रो पड़े थे अब्र-पारे जान कर क़िस्सा मेरा
आँख वो हँसती रही तो खिल उठे सूखे गुलाब
आँख वो रोने लगी तो रो पड़ा सहरा मेरा
ख़ुसरवान-ए-शहर मैं हो जाऊँगा इक लम्स से
और फ़क़त इक दीद से भर जाएगा कासा मेरा
मैं किताबों के जहाँ का एक ख़ुशक़िस्मत किताब
नाव बच्चों ने बनाया फाड़ कर सफ़्हा मेरा
उस नज़र को ख़्वाहिशों का शौक़ दे मेरा ख़याल
उस जबीं को रौशनी देता रहे बोसा मेरा
मैं मुसलसल बंद करता हूँ मगर फिर दम-ब-दम
याद उसकी खोलती जाती है दरवाज़ा मेरा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prasoon
our suggestion based on Prasoon
As you were reading Kashti Shayari Shayari