nahin main jaanta noor-e-basar tha zahar aankhon mein | नहीं मैं जानता नूर-ए-बसर था ज़हर आँखों में - Mohammad Maashir Raza 'Qabeeh'

nahin main jaanta noor-e-basar tha zahar aankhon mein
use aise raha main dekh jaise qahar aankhon mein

nahin dekha main aankhon ke alaava aur kuchh phir bhi
mujhe koi to batlaaye tha kaisa zahar aankhon mein

main to dekha tha mustaqbil usi shaadaab aankhon mein
dikha bhi to nahin kaise basa tha shehar aankhon mein

samandar jaisi hi mujhko dikhi aankhon ki gehraai
suna awaaz joron se tha jaise lehar aankhon mein

mujhe koi to batlaaye tha kya haathon mein bhi uske
raha main dekhta uskon mohabbat dehr aankhon mein

नहीं मैं जानता नूर-ए-बसर था ज़हर आँखों में
उसे ऐसे रहा मैं देख जैसे क़हर आँखों में

नहीं देखा मैं आँखों के अलावा और कुछ फिर भी
मुझे कोई तो बतलाए था कैसा ज़हर आँखों में

मैं तो देखा था मुस्तक़बिल उसी शादाब आँखों में
दिखा भी तो नहीं कैसे बसा था शहर आँखों में

समन्दर जैसी ही मुझको दिखी आँखों की गहराई
सुना आवाज़ जोरों से था जैसे लहर आँखों में

मुझे कोई तो बतलाए था क्या हाथों में भी उसके
रहा मैं देखता उसकों मोहब्बत दहर आँखों में

- Mohammad Maashir Raza 'Qabeeh'
1 Like

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohammad Maashir Raza 'Qabeeh'

As you were reading Shayari by Mohammad Maashir Raza 'Qabeeh'

Similar Writers

our suggestion based on Mohammad Maashir Raza 'Qabeeh'

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari