bojh jab se badh gaya hai zindagi ka
silsila tham sa gaya hai maykashi ka
jo churakar shayari khud ki hain kahte
vo bataayein mujhko maani shayari ka
dekhkar tankhwaah main ye sochta hoon
bhaav kitna rah gaya hai aadmi ka
ishq mujhko raas aata hi nahin par
main chipaata hoon hunar aawaargi ka
ham asiroon ko mohabbat teergi se
ham nahin chaahenge kamra raushni ka
rotiyon ki pooja karta hoon main tab se
dekha hai jab se vo manzar bhukhmari ka
dekhkar mujhko lagega tumko aisa
hota hai koi nasha bhi bebaasi ka
diary meri kai karti asar hai
ye udaasi ik asar hai diary ka
saadgi ne teri hai jaadu chalaaya
bhaav rehta hai ziyaada saadgi ka
kaam aana hai nahin matlab agar to
phir batao mujhko matlab dosti ka
tez bhaaga vasl mein to phir hua yun
hijr mein dheeme chala kaanta ghadi ka
ghaav bharte ishq ke dekhe hain maine
par nahin tha jaadu vo charagari ka
mujhko sehra mil gaya leila ko dhoondo
qais banna hai mujhe bhi is sadi ka
kaam milta hai sabhi ko zindagi mein
kaam mujhko mil chuka deewaangi ka
aapne jo samjha hai apni samajh se
zaviya ye to nahin tha shayari ka
vo tawaif maan ke qabil hai saahir
vo bhala to kar rahi hai na kisi ka
बोझ जब से बढ़ गया है ज़िंदगी का
सिलसिला थम सा गया है मयकशी का
जो चुराकर शायरी ख़ुद की हैं कहते
वो बताएँ मुझको मानी शायरी का
देखकर तनख़्वाह मैं ये सोचता हूँ
भाव कितना रह गया है आदमी का
इश्क़ मुझको रास आता ही नहीं पर
मैं छिपाता हूँ हुनर आवारगी का
हम असीरों को मोहब्बत तीरगी से
हम नहीं चाहेंगे कमरा रौशनी का
रोटियों की पूजा करता हूँ मैं तब से
देखा है जब से वो मंज़र भुखमरी का
देखकर मुझको लगेगा तुमको ऐसा
होता है कोई नशा भी बेबसी का
डायरी मेरी कई करती असर है
ये उदासी इक असर है डायरी का
सादगी ने तेरी है जादू चलाया
भाव रहता है ज़ियादा सादगी का
काम आना है नहीं मतलब अगर तो
फिर बताओ मुझको मतलब दोस्ती का
तेज़ भागा वस्ल में तो फिर हुआ यूँ
हिज्र में धीमे चला कांटा घड़ी का
घाव भरते इश्क़ के देखे हैं मैंने
पर नहीं था जादू वो चारागरी का
मुझको सहरा मिल गया लैला को ढूँढों
क़ैस बनना है मुझे भी इस सदी का
काम मिलता है सभी को ज़िंदगी में
काम मुझको मिल चुका दीवानगी का
आपने जो समझा है अपनी समझ से
ज़ाविया ये तो नहीं था शायरी का
वो तवायफ़ मान के क़ाबिल है 'साहिर'
वो भला तो कर रही है ना किसी का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saahir
our suggestion based on Saahir
As you were reading Insaan Shayari Shayari