rishta ye ret vash yun hatheli mein bhar gaya
girta raha girift se dil dekh dar gaya
in sab mein haadse ki tarah main guzar gaya
har khwaab toot kar ke zameen par bikhar gaya
behaal main samet ke phir aabroo meri
sab kuchh luta ke haath se be-sabr ghar gaya
karke juda nahin ye parastaar phir ruka
apna mera fareb mujhi se ye kar gaya
phir maut roo-siyaah ye hatmi ilaaj hai
mulzim ye phir se dasht mein waapas agar gaya
aana nahin palat ke kabhi tum meri gali
jo tha kabhi nisaar samajhna ke mar gaya
रिश्ता ये रेत वश यूँ हथेली में भर गया
गिरता रहा गिरफ़्त से दिल देख डर गया
इन सब में हादसे की तरह मैं गुज़र गया
हर ख़्वाब टूट कर के ज़मीं पर बिखर गया
बेहाल मैं समेट के फिर आबरू मेरी
सब कुछ लुटा के हाथ से बे-सब्र घर गया
करके जुदा नहीं ये परस्तार फिर रुका
अपना मिरा फ़रेब मुझी से ये कर गया
फिर मौत रू-सियाह ये हतमी इलाज है
मुल्ज़िम ये फिर से दश्त में वापस अगर गया
आना नहीं पलट के कभी तुम मिरी गली
जो था कभी निसार समझना के मर गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rubal
our suggestion based on Rubal
As you were reading Wahshat Shayari Shayari