tire baghair to jeena saza sa lagta hai | तिरे बग़ैर तो जीना सज़ा सा लगता है - Saif Dehlvi

tire baghair to jeena saza sa lagta hai
hamaara haal hamein khud bura sa lagta hai

haan aisa waqt bhi aata hai raah-e-ulfat mein
qareeb hote hue faasla sa lagta hai

yaqeen maaniye jis din se khat likha usko
har ek shakhs mujhe daakiya sa lagta hai

mere khuda teri imdaad kii zaroorat hai
mujhe ye shehar bhi ab karbala sa lagta hai

hamaare saamne jab tum kisi se milte ho
bura na maanna hamko bura sa lagta hai

main jaanta hoon ke vo bewafa nahin lekin
kabhi kabhi vo mujhe bewafa sa lagta hai

तिरे बग़ैर तो जीना सज़ा सा लगता है
हमारा हाल हमें ख़ुद बुरा सा लगता है

हाँ ऐसा वक़्त भी आता है राह-ए-उल्फ़त में
क़रीब होते हुए फ़ासला सा लगता है

यक़ीन मानिए जिस दिन से ख़त लिखा उसको
हर एक शख़्स मुझे डाकिया सा लगता है

मिरे ख़ुदा तेरी इमदाद की ज़रूरत है
मुझे ये शहर भी अब कर्बला सा लगता है

हमारे सामने जब तुम किसी से मिलते हो
बुरा न मानना हमको बुरा सा लगता है

मैं जानता हूँ के वो बेवफ़ा नहीं लेकिन
कभी कभी वो मुझे बेवफ़ा सा लगता है

- Saif Dehlvi
1 Like

Faith Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saif Dehlvi

As you were reading Shayari by Saif Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Saif Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Faith Shayari Shayari