chubhan | चुभन - Chandrapal singh nishad

chubhan

mujhe jamaane mein dhokhebaaz kaha jaata hai
kisi se vaada karke mukar jaane ka ilzaam diya jaata hai
duniya ko khush nazar aata hoon main aur usko bhi
asal mein main phir kabhi is dard se ubhar nahin paaya
usko chaaha usko pyaar kiya ye haseen yaadein hain bas meri
marna bhi chaaha magar main mar nahin paaya
haan galat hoon shaayad main mohabbat ki kitaab ke hisaab se
ye asal duniya hai kitaabon ke hisaab se nahin chalti
farq bas itna sa hai
usko thi mujhse bepanaah mohabbat
aur mujhe aaj bhi hai

चुभन

मुझे जमाने में धोख़ेबाज कहा जाता है
किसी से वादा करके मुकर जाने का इल्ज़ाम दिया जाता है
दुनिया को ख़ुश नज़र आता हूँ मैं और उसको भी
असल में मैं फिर कभी इस दर्द से उभर नहीं पाया
उसको चाहा उसको प्यार किया ये हसीन यादें हैं बस मेरी
मरना भी चाहा मगर मैं मर नहीं पाया
हाँ गलत हूँ शायद मैं मोहब्बत की किताब के हिसाब से
ये असल दुनिया है किताबों के हिसाब से नहीं चलती
फ़र्क़ बस इतना सा है
उसको थी मुझसे बेपनाह मोहब्बत
और मुझे आज भी है

- Chandrapal singh nishad
2 Likes

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Chandrapal singh nishad

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari