kyun tiri mohabbat mein dard sah raha hoon main | क्यूँ तिरी मोहब्बत में दर्द सह रहा हूँ मैं

  - Santosh singh shekhar

kyun tiri mohabbat mein dard sah raha hoon main
gar tiri adaalat mein be-gunah raha hoon main

ai khuda hifaazat है,उसकी ab tire zimme
ik tire bharose hi door rah raha hoon main

tera ho nahin saka main kisi bhi taur ab to
par tujhe pata hai na jhooth kah raha hoon main

soorat-e-nadi ki ab mujhko kya zaroorat hai
seerat-e-nadi mein jab yaar bah raha hoon main

ilm geet-ghazlon ka mujhko hai nahin shekhar
haasil-e-mohabbat hai jo bhi kah raha hoon main

क्यूँ तिरी मोहब्बत में दर्द सह रहा हूँ मैं
ग़र तिरी अदालत में बे-गुनह रहा हूँ मैं

ऐ ख़ुदा हिफाज़त है,उसकी अब तिरे ज़िम्मे
इक तिरे भरोसे ही दूर रह रहा हूँ मैं

तेरा हो नहीं सकता मैं किसी भी तौर अब तो
पर तुझे पता है ना झूठ कह रहा हूँ मैं

सूरत-ए-नदी की अब मुझको क्या ज़रूरत है
सीरत-ए-नदी में जब यार बह रहा हूँ मैं

इल्म गीत-ग़ज़लों का मुझको है नहीं 'शेखर'
हासिल-ए-मुहब्बत है जो भी कह रहा हूँ मैं

  - Santosh singh shekhar

Justice Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Santosh singh shekhar

As you were reading Shayari by Santosh singh shekhar

Similar Writers

our suggestion based on Santosh singh shekhar

Similar Moods

As you were reading Justice Shayari Shayari