zindagi mein bas yahi ik mas'ala hai aaj kal
koi jeene ki duaaein de raha hai aaj kal
tere chup ho jaane se in panchiyon ko kya hua
panchiyon ka kyun gala baitha hua hai aaj kal
saare achhe log hamko mayqade mein mil gaye
mayqade ka asl chehra dik raha hai aaj kal
waqt se main bhi khafa hoon har ghadi ye soch ke
waqt mera mujhse aakhir kyun khafa hai aaj kal
khudkushi ki sochta hoon aur uska chehra bhi
ain-mumkin hai ki dono ja b ja hai aaj kal
bhool jaayenge mujhe sab ye khabar mujhko bhi hai
ab kahaan mujhse kisi ko faayda hai aaj kal
ishq ke maidaan mein aane se pehle soch lo
har khilaadi tez genden fenkta hai aaj kal
ज़िन्दगी में बस यही इक मसअला है आज कल
कोई जीने की दुआएँ दे रहा है आज कल
तेरे चुप हो जाने से इन पंछियों को क्या हुआ
पंछियों का क्यों गला बैठा हुआ है आज कल
सारे अच्छे लोग हमको मयक़दे में मिल गए
मयक़दे का अस्ल चेहरा दिख रहा है आज कल
वक़्त से मैं भी ख़फा हूँ हर घड़ी ये सोच के
वक़्त मेरा मुझसे आखिर क्यों ख़फा है आज कल
ख़ुदकुशी की सोचता हूँ और उसका चेहरा भी
ऐन-मुमकिन है कि दोनों जा ब जा है आज कल
भूल जायेंगे मुझे सब ये ख़बर मुझको भी है
अब कहाँ मुझसे किसी को फायदा है आज कल
इश्क़ के मैदान में आने से पहले सोच लो
हर खिलाड़ी तेज़ गेंदें फेंकता है आज कल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Santosh singh shekhar
our suggestion based on Santosh singh shekhar
As you were reading Aadmi Shayari Shayari