yaad | "याद" - SHABAN NAZIR

yaad

yaqeenan tum bhi mere baare kabhi sochte hoge
bhale hi ik bhatkati mukhtasar si yaad aa jaaye
kabhi beete hue lamhaat ki ek khushnuma jhalaki
kisi din khwaab ke raaste achaanak saamne aaye
kabhi aisa bhi hota ho ki meri shaayri ko tum
hamaari yaad mein khokar use tanhaa jo padhte ho
to un alfaaz se meri kabhi awaaz aati ho
tumhaari lab kushaai hoti hai jab meri ghazalon se
yaqeen jaano to mujhko ye maaloom hota hai
tumhaare lab pe aa jaane ka ye achha tareeqa hai
wahi se phool ki maanind tumhaare lab se jhadta hoon
ki jaise phool jhadte hain tumhaare baat karne se
magar main sochta hoon phool hoon to phool kaisa hoon
meri jaan kuch to gul zer-e chaman aise bhi hote hain
ki jo khushboo nahin dete magar dil-kash bhi hote hain
unhi dilkash nazaaron ka main ik aisa hissa hoon
ki jo khushboo to deta hai magar dilkash nahin hota
magar afsos hai ki zindagi kuch aur hi shay hai
ise khushboo parasti ka dikhaava khoob aata hai
muqaabil dil-kashi ke saamne khushboo-parasti ho
yaqeenan zindagi bhi ho na ho dilkash ko chuntee hai
zara si der mein hi main bhi kya-kya soch leta hoon
main tumko yaad kar ke ye akshar sochta hoon bas
na poore din na poori raat bhale hi chand se lamhaat
yaqeenan tum bhi mere baare kabhi sochte hoge

"याद"

यक़ीनन तुम भी मेरे बारे कभी सोचते होगे
भले ही इक भटकती मुख़्तसर सी याद आ जाए
कभी बीते हुए लम्हात की एक ख़ुशनुमा झलकी
किसी दिन ख़्वाब के रस्ते अचानक सामने आये
कभी ऐसा भी होता हो कि मेरी शाइरी को तुम
हमारी याद में खोकर उसे तन्हा जो पढ़ते हो
तो उन अल्फ़ाज़ से मेरी कभी आवाज़ आती हो
तुम्हारी लब- कुशाई होती है जब मेरी ग़ज़लों से
यक़ीं जानो तो मुझको ये मालूम होता है
तुम्हारे लब पे आ जाने का ये अच्छा तरीक़ा है
वहीं से फूल की मानिंद तुम्हारे लब से झड़ता हूँ
कि जैसे फूल झड़ते हैं तुम्हारे बात करने से
मगर मैं सोचता हूँ फूल हूँ तो फूल कैसा हूँ
मिरी जाँ कुछ तो गुल ज़ेर-ए- चमन ऐसे भी होते हैं
कि जो ख़ुशबू नहीं देते मगर दिल-कश भी होते हैं
उन्ही दिलकश नज़ारों का मैं इक ऐसा हिस्सा हूँ
कि जो ख़ुशबू तो देता है मगर दिलकश नहीं होता
मगर अफ़सोस है कि ज़िन्दगी कुछ और ही शय है
इसे ख़ुशबू परस्ती का दिखावा ख़ूब आता है
मुक़ाबिल दिल-कशी के सामने ख़ुशबू-परस्ती हो
यक़ीनन ज़िंदगी भी हो न हो दिलकश को चुनती है
ज़रा सी देर में ही मैं भी क्या-क्या सोच लेता हूँ
मैं तुमको याद कर के ये अक्सर सोचता हूँ बस
न पूरे दिन न पूरी रात भले ही चंद से लम्हात
यक़ीनन तुम भी मेरे बारे कभी सोचते होगे।

- SHABAN NAZIR
1 Like

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SHABAN NAZIR

As you were reading Shayari by SHABAN NAZIR

Similar Writers

our suggestion based on SHABAN NAZIR

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari