pyaar bhi ho pyaar ka anjaam bhi ho
saath tere chaai us par shaam bhi ho
kya pata kya hai magar kuchh baat to hai
kya pata is kuchh ka koi naam bhi ho
itni bhi masroofiyat achhi nahin hai
vo bulaaye aur mujhko kaam bhi ho
zindagi bhi maut ko chuntee hai aakhir
har koi ye chahta aaraam bhi ho
tab kahi jaakar muhabbat rang laaye
ek radha ho to dooja shyaam bhi ho
zindagi teri saza manzoor hai par
shart ye hai mujh pe ik ilzaam bhi ho
प्यार भी हो प्यार का अंजाम भी हो
साथ तेरे चाय उस पर शाम भी हो
क्या पता क्या है मगर कुछ बात तो है
क्या पता इस कुछ का कोई नाम भी हो
इतनी भी मसरूफ़ियत अच्छी नहीं है
वो बुलाए और मुझको काम भी हो
जिंदगी भी मौत को चुनती है आख़िर
हर कोई ये चाहता आराम भी हो
तब कहीं जाकर मुहब्बत रंग लाये
एक राधा हो तो दूजा श्याम भी हो
ज़िन्दगी तेरी सज़ा मंज़ूर है पर
शर्त ये है मुझ पे इक इल्ज़ाम भी हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SHABAN NAZIR
our suggestion based on SHABAN NAZIR
As you were reading Crime Shayari Shayari