meri tujhse hai ye hi iltijaa ye abhi abhi are aaj kar
tire hoth jo hain ye phool se abhi mere maathe ka taaj kar
kabhi shikwa sun mera baith ke kabhi dard-e-dil mera jaan le
kabhi kar nazar mere zakham pe mere zakhm-e-dil ka ilaaj kar
mera dil to hai tiri saltanat mere baadshaah tujhe hai haq
mere husn par zara kar nazar mere jism pe tu hi raaj kar
मिरी तुझसे है ये ही इल्तिजा ये अभी अभी अरे आज कर
तिरे होठ जो हैं ये फूल से अभी मेरे माथे का ताज कर
कभी शिकवा सुन मिरा बैठ के कभी दर्द-ए-दिल मिरा जान ले
कभी कर नज़र मिरे ज़ख़्म पे मिरे ज़ख़्म-ए-दिल का इलाज कर
मिरा दिल तो है तिरी सल्तनत मिरे बादशाह तुझे है हक़
मिरे हुस्न पर ज़रा कर नज़र मिरे जिस्म पे तू ही राज कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Gulshan Shayari Shayari