rab hi jaane kya hua hai khair ho
har koi ye kah raha hai khair ho
maine jo bola tha uski shaan mein
usne vo sab sun liya hai khair ho
raah-zan hi raah-zan hain chaar soo
raah mein ik qaafila hai khair ho
taish se jo dekha karta tha mujhe
muskuraakar dekhta hai khair ho
usne khat bheja hai barson baad mein
aur khat mein ye likha hai khair ho
ashkon se daaman ko apne tar kiye
rab se vo mahv-e-dua hai khair ho
kal talak jo dushman-e-jaan tha meri
mere haq mein bolta hai khair ho
mauzoo-e-charcha hai jiska husn vo
ru-b-ru-e aaina hai khair ho
lab nahin khole the jisne umr bhar
vo labon ko kholta hai khair ho
be wafa insaan ke dekho shajar
hontho pe lafz-e-wafa hai khair ho
har ghadi jo hansta rehta hai shajar
hansta hansta ro pada hai khair ho
रब ही जाने क्या हुआ है ख़ैर हो
हर कोई ये कह रहा है ख़ैर हो
मैंने जो बोला था उसकी शान में
उसने वो सब सुन लिया है ख़ैर हो
राह-ज़न ही राह-ज़न हैं चार सू
राह में इक क़ाफ़िला है ख़ैर हो
तैश से जो देखा करता था मुझे
मुस्कुराकर देखता है ख़ैर हो
उसने ख़त भेजा है बरसों बाद में
और ख़त में ये लिखा है ख़ैर हो
अश्कों से दामन को अपने तर किए
रब से वो महव-ए-दुआ है ख़ैर हो
कल तलक जो दुश्मन-ए-जाँ था मेरी
मेरे हक़ में बोलता है ख़ैर हो
मौज़ू-ए-चर्चा है जिसका हुस्न वो
रु-ब-रु-ए आईना है ख़ैर हो
लब नहीं खोले थे जिसने उम्र भर
वो लबों को खोलता है ख़ैर हो
बे वफ़ा इंसान के देखो शजर
होंठो पे लफ़्ज़-ए-वफ़ा है ख़ैर हो
हर घड़ी जो हँसता रहता है शजर
हँसता हँसता रो पड़ा है ख़ैर हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Chehra Shayari Shayari