ye aabshaar ye nadiyaan gulaab le jaao
ye kahkashaan ye qamar aftaab le jaao
naqaab odh ke bilkul pari si lagti hai
bataur-e-khaas ye uska naqaab le jaao
hamaari aankhon se mumkin nahin difa hona
khuda ke vaaste tum apne khwaab le jaao
firaq-e-yaar hai tahreer jitne babon mein
vo baab chhod ke saari kitaab le jaao
janaab-e-qais se mahshar mein ye kahega khuda
lo qais ishq ka apne khitaab le jaao
hamaare seene mein zaaya rakha hai barson se
mataa-e-jaan dil-e-khaana kharab le jaao
bhatk raha hai vo sadiyon se pyaasa sehra mein
koi to qais ki khaatir ye aab le jaao
utha ke haath dua ko kaha ye yusuf ne
zulekha apna ye husn-o-shabaab le jaao
vo gaav aayi hai aankhon mein maykada. lekar
sharaab chahiye jisko sharaab le jaao
ai shehr-e-jaan ki jaanib ko jaane waale bashar
shajar ki samt se uska hijaab le jaao
ये आबशार ये नदियाँ गुलाब ले जाओ
ये कहकशां ये क़मर आफ़ताब ले जाओ
नक़ाब ओढ़ के बिल्कुल परी सी लगती है
बतौर-ए-ख़ास ये उसका नक़ाब ले जाओ
हमारी आँखों से मुमकिन नहीं दिफा होना
ख़ुदा के वास्ते तुम अपने ख़्वाब ले जाओ
फिराक़-ए-यार है तहरीर जितने बाबों में
वो बाब छोड़ के सारी किताब ले जाओ
जनाब-ए-क़ैस से महशर में ये कहेगा ख़ुदा
लो क़ैस इश्क़ का अपने ख़िताब ले जाओ
हमारे सीने में ज़ाया रखा है बरसों से
मता-ए-जाँ दिल-ए-ख़ाना ख़राब ले जाओ
भटक रहा है वो सदियों से प्यासा सहरा में
कोई तो क़ैस की ख़ातिर ये आब ले जाओ
उठा के हाथ दुआ को कहा ये यूसुफ़ ने
ज़ुलेख़ा अपना ये हुस्न-ओ-शबाब ले जाओ
वो गाँव आई है आँखों में मयक़दा लेकर
शराब चाहिए जिसको शराब ले जाओ
ऐ शहर-ए-जान की जानिब को जाने वाले बशर
शजर की सम्त से उसका हिजाब ले जाओ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Shajar Shayari Shayari