nahin dekha nahin dekha kabhi aisa nahin dekha
agar main yun kahoon to shakhs us jaisa nahin dekha
bahut se roop dekhe hai nigaahon ne zamaane mein
yakeen jaano kahi dilkash kabhi waisa nahin dekha
adaaon mein sharaarat aur labon par bol meethe se
kabhi maine kahi maasoom tujh jaisa nahin dekha
suna maine hai aaina bayaan karta hain sacchaai
bayaan jo kar sake khoobi teri aisa nahin dekha
kai dekhe haseen chehre yun to maine meri jaana
magar kah doo yahan pyaara koi tumsa nahin dekha
hai itni jheel si gahri teri aankhen kahoon main kya
kahoon gar sach to kuchh gahra kabhi insa nahin dekha
bina tere yeh ik ik pal hai lagte saal se mujhko
batao haal kuchh apna hua arsa nahin dekha
नहीं देखा नहीं देखा कभी ऐसा नहीं देखा
अगर मैं यूँ कहूँ तो शख्स उस जैसा नहीं देखा
बहुत से रूप देखे है निगाहों ने ज़माने में
यकीं जानो कही दिलकश कभी वैसा नहीं देखा
अदाओं में शरारत और लबों पर बोल मीठे से
कभी मैंने कहीं मासूम तुझ जैसा नहीं देखा
सुना मैंने है आईना बयां करता हैं सच्चाई
बयां जो कर सके खूबी तेरी ऐसा नहीं देखा
कई देखे हसीं चेहरे यूँ तो मैंने मिरी जाना
मगर कह दू यहाँ प्यारा कोई तुमसा नहीं देखा
है इतनी झील सी गहरी तेरी आँखें कहूँ मैं क्या
कहूँ गर सच तो कुछ गहरा कभी इनसा नहीं देखा
बिना तेरे यें इक इक पल है लगते साल से मुझको
बताओ हाल कुछ अपना हुआ अरसा नहीं देखा
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Lucky Tripathi
As you were reading Chehra Shayari Shayari