nikle safar ko paidal vo chaar hum-safar the | निकले सफ़र को पैदल वो चार हम-सफ़र थे - Aafaque Siddiqui

nikle safar ko paidal vo chaar hum-safar the
sab apne raaste aur manzil se ba-khabar the
ik falsafi tha un mein doosra tha naai
phir teesra sipaahi ganja tha jis ka bhaai
jungle mein raat aayi laazim tha un ko sona
le kar chale the apne vo odhna bichhauna
soye kuch is tarah vo us mein hoshiyaari
har ek ka tha pahra do ghante baari baari
pehle sipaahi jaaga phir aadhi raat aayi
vo so gaya to pahra dene laga tha naai
lambe the aur ghane the jo baal us ke sar par
naai ne moond dale tez ustura fer kar
bedaar falsafi ko kar ke ye bola naai
baari ab aap ki hai uth jaao mere bhaai
jab haath falsafi ne chandiya pe apni fera
aape se ho ke baahar naai ko us ne ghera
ye kya gazab kiya hai naahak use uthaya
baari thi falsafi ki ganje ko kyun jagaaya

निकले सफ़र को पैदल वो चार हम-सफ़र थे
सब अपने रास्ते और मंज़िल से बा-ख़बर थे
इक फ़लसफ़ी था उन में दूसरा था नाई
फिर तीसरा सिपाही गंजा था जिस का भाई
जंगल में रात आई लाज़िम था उन को सोना
ले कर चले थे अपने वो ओढ़ना बिछौना
सोए कुछ इस तरह वो उस में होशियारी
हर एक का था पहरा दो घंटे बारी बारी
पहले सिपाही जागा फिर आधी रात आई
वो सो गया तो पहरा देने लगा था नाई
लम्बे थे और घने थे जो बाल उस के सर पर
नाई ने मूंड डाले तेज़ उस्तुरा फेर कर
बेदार फ़लसफ़ी को कर के ये बोला नाई
बारी अब आप की है उठ जाओ मेरे भाई
जब हाथ फ़लसफ़ी ने चंदिया पे अपनी फेरा
आपे से हो के बाहर नाई को उस ने घेरा
ये क्या ग़ज़ब किया है नाहक़ उसे उठाया
बारी थी फ़लसफ़ी की गंजे को क्यों जगाया

- Aafaque Siddiqui
0 Likes

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aafaque Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari