meri basti mein bahut der se sannaata hai
na kahi naala-o-shevan na koi shor-e-buka
par kahi door bahut door kisi kooche se
hawle hawle sisakne ki sada aayi hai
sun ke ye giriya-e-ufataada tasalli si hui
meri basti mein abhi koi bashar zinda hai
khatm ho jaayegi ye raat sehar zinda hai
kya ajab ki yahi mauhoom si awaaz
yahi siskaari
ek din shor-e-buka ban jaaye
ek elaan-e-waqaa ban jaaye
मेरी बस्ती में बहुत देर से सन्नाटा है
न कहीं नाला-ओ-शेवन न कोई शोर-ए-बुका
पर कहीं दूर बहुत दूर किसी कूचे से
हौले हौले सिसकने की सदा आई है
सुन के ये गिर्या-ए-उफ़्तादा तसल्ली सी हुई
मेरी बस्ती में अभी कोई बशर ज़िंदा है
ख़त्म हो जाएगी ये रात सहर ज़िंदा है
क्या अजब कि यही मौहूम सी आवाज़
यही सिसकारी
एक दिन शोर-ए-बुका बन जाए
एक एलान-ए-वग़ा बन जाए
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Aarif Akhtar Naqvi
As you were reading Raat Shayari Shayari