kaash main tujh sa bewafa hota | काश मैं तुझ सा बेवफ़ा होता - Aatish Indori

kaash main tujh sa bewafa hota
phir mujhe tujh se kya gila hota

ishq hota hai kya pata hota
gar parindon se vaasta hota

bol ke mujh se gar juda hota
milne-julne ka silsila hota

yun ho ki ghar banaayein deewarein
raat hote hi ghar gaya hota

bewafaai ka surkh rang bhi hai
ishq mein warna kya maza hota

khud pe gar ikhtiyaar hota to
door main tujh se ja chuka hota

hisse mein aata sirf ameeron ke
ishq paison mein gar bika hota

काश मैं तुझ सा बेवफ़ा होता
फिर मुझे तुझ से क्या गिला होता

इश्क़ होता है क्या पता होता
गर परिंदों से वास्ता होता

बोल के मुझ से गर जुदा होता
मिलने-जुलने का सिलसिला होता

यूँ हो कि घर बनाएँ दीवारें
रात होते ही घर गया होता

बेवफ़ाई का सुर्ख़ रंग भी है
इश्क़ में वर्ना क्या मज़ा होता

ख़ुद पे गर इख़्तियार होता तो
दूर मैं तुझ से जा चुका होता

हिस्से में आता सिर्फ़ अमीरों के
इश्क़ पैसों में गर बिका होता

- Aatish Indori
4 Likes

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aatish Indori

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari