jo log anjuman mein ki muskaa ke ro diye | जो लोग अंजुमन में कि मुस्का के रो दिए

  - Prashant Kumar

jo log anjuman mein ki muskaa ke ro diye
ham unse bhi kharab the sharmaa ke ro diye

hamne zabaan di thi unhen muskuraane ki
aur unke roo-b-roo humeen ghabra ke ro diye

itna haseen husn hai itna gudaaz hai
maftoon bhi to hoor ke pachta ke ro diye

dekho hayaat-baksh bhi nikle mile hue
khanjar hamaari jaan pe chalwa ke ro diye

tere bina ye zindagi itni udaas hai
aansu bhi raat din hamein bahla ke ro diye

जो लोग अंजुमन में कि मुस्का के रो दिए
हम उनसे भी ख़राब थे शरमा के रो दिए

हमने ज़बान दी थी उन्हें मुस्कुराने की
और उनके रू-ब-रू हमीं घबरा के रो दिए

इतना हसीन हुस्न है इतना गुदाज़ है
मफ़्तून भी तो हूर के पछता के रो दिए

देखो हयात-बख़्श भी निकले मिले हुए
ख़ंजर हमारी जान पे चलवा के रो दिए

तेरे बिना ये ज़िंदगी इतनी उदास है
आँसू भी रात दिन हमें बहला के रो दिए

  - Prashant Kumar

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari