tujhe dekhoon tujhe sochun tiri fariyaad karta hoon | तुझे देखूँ तुझे सोचूँ तिरी फ़रियाद करता हूँ

  - Prashant Kumar

tujhe dekhoon tujhe sochun tiri fariyaad karta hoon
are main khaana peena bhi tire hi baad karta hoon

zamaana to mujhe barbaad karne par tula rehta
magar main is zamaane ko sada aabaad karta hoon

agar main zindagi kii uljhnon mein qaid hoon to kya
ghadi bhar hi sahi lekin tujhe to yaad karta hoon

jidhar dekho udhar ash'aar kii tauheen hoti hai
isi chakkar mein khud hi sher par irshaad karta hoon

wahi to gair bankar ke mujhe barbaad karte hain
jinhen main dost bankar ke sada aabaad karta hoon

तुझे देखूँ तुझे सोचूँ तिरी फ़रियाद करता हूँ
अरे मैं खाना पीना भी तिरे ही बाद करता हूँ

ज़माना तो मुझे बर्बाद करने पर तुला रहता
मगर मैं इस ज़माने को सदा आबाद करता हूँ

अगर मैं ज़िंदगी की उलझनों में क़ैद हूँ तो क्या
घड़ी भर ही सही लेकिन तुझे तो याद करता हूँ

जिधर देखो उधर अश'आर की तौहीन होती है
इसी चक्कर में ख़ुद ही शेर पर इरशाद करता हूँ

वही तो ग़ैर बनकर के मुझे बर्बाद करते हैं
जिन्हें मैं दोस्त बनकर के सदा आबाद करता हूँ

  - Prashant Kumar

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari