jalta raha charaagh yaqeen-o-gumaan ka | जलता रहा चराग़ यक़ीन-ओ-गुमान का - Ahmad Fakhir

jalta raha charaagh yaqeen-o-gumaan ka
lekin hua na door andhera makaan ka

gandum ki baaliyon se bahut raushni hui
is raushni se qarz na utara kisaan ka

aanchal kisi ka tez hawa ne uda diya
kashti se raabta na raha baadbaan ka

zakham-e-nawaazishaat mahakta raha sada
dekha koi gulaab na is aan-baan ka

faakhir jamee hui hai abhi tak wahin nigaah
malba pada hua hai jahaan us makaan ka

जलता रहा चराग़ यक़ीन-ओ-गुमान का
लेकिन हुआ न दूर अंधेरा मकान का

गंदुम की बालियों से बहुत रौशनी हुई
इस रौशनी से क़र्ज़ न उतरा किसान का

आँचल किसी का तेज़ हवा ने उड़ा दिया
कश्ती से राब्ता न रहा बादबान का

ज़ख़्म-ए-नवाज़िशात महकता रहा सदा
देखा कोई गुलाब न इस आन-बान का

'फ़ाख़िर' जमी हुई है अभी तक वहीं निगाह
मलबा पड़ा हुआ है जहाँ उस मकान का

- Ahmad Fakhir
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Fakhir

As you were reading Shayari by Ahmad Fakhir

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Fakhir

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari