sochta hoon yahan kis se hai shanaasaai meri | सोचता हूँ यहाँ किस से है शनासाई मिरी - Ahmad Fakhir

sochta hoon yahan kis se hai shanaasaai meri
wahi veeraan sa makaan hai wahi tanhaai meri

jis ki zulfon mein lagaaya hai mohabbat ka gulaab
kaaghazi phoolon se karta hai paziraai meri

is dariche mein nahin dekhne waala koi
vo tamasha hoon ki hai khalk tamaashaai meri

band-e-gham toot ke ashaar mein bah nikla hai
qarye qarye mein hui jaati hai ruswaai meri

dil ke faanoos mein jal uthati hain shamaein faakhir
dard aata hai jo karne ki paziraai meri

सोचता हूँ यहाँ किस से है शनासाई मिरी
वही वीराँ सा मकाँ है वही तन्हाई मिरी

जिस की ज़ुल्फ़ों में लगाया है मोहब्बत का गुलाब
काग़ज़ी फूलों से करता है पज़ीराई मिरी

इस दरीचे में नहीं देखने वाला कोई
वो तमाशा हूँ कि है ख़ल्क़ तमाशाई मिरी

बंद-ए-ग़म टूट के अशआ'र में बह निकला है
क़र्ये क़र्ये में हुई जाती है रुस्वाई मिरी

दिल के फ़ानूस में जल उठती हैं शमएँ 'फ़ाख़िर'
दर्द आता है जो करने की पज़ीराई मिरी

- Ahmad Fakhir
0 Likes

Zulf Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Fakhir

As you were reading Shayari by Ahmad Fakhir

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Fakhir

Similar Moods

As you were reading Zulf Shayari Shayari