siyaah-raat pashemaan hai ham-rakaabi se | सियाह-रात पशेमाँ है हम-रकाबी से - Ahmad Fakhir

siyaah-raat pashemaan hai ham-rakaabi se
vo raushni hai tire gham ki mahtaabi se

saba ke haath hai ab izzat-e-nigaah meri
chaman mahakne laga gul ki be-hijaabi se

firaar un se hai mushkil vo dastaras mein nahin
ye zard zard se mausam vo din gulaabi se

lahu lahu nazar aati hai shaakh-e-gul mujh ko
khile vo phool tiri taaza inqilaabi se

ajab nahin hai ki pa jaayen qafile manzil
hamaare naqsh-e-qadam ki sitaara-taabi se

koi kitaab jo khole to kya padhen faakhir
khuliin nigaah mein chehre agar kitaabi se

सियाह-रात पशेमाँ है हम-रकाबी से
वो रौशनी है तिरे ग़म की माहताबी से

सबा के हाथ है अब इज़्ज़त-ए-निगाह मिरी
चमन महकने लगा गुल की बे-हिजाबी से

फ़रार उन से है मुश्किल वो दस्तरस में नहीं
ये ज़र्द ज़र्द से मौसम वो दिन गुलाबी से

लहू लहू नज़र आती है शाख़-ए-गुल मुझ को
खिले वो फूल तिरी ताज़ा इंक़िलाबी से

अजब नहीं है कि पा जाएँ क़ाफ़िले मंज़िल
हमारे नक़्श-ए-क़दम की सितारा-ताबी से

कोई किताब जो खोलें तो क्या पढ़ें 'फ़ाख़िर'
खुलीं निगाह में चेहरे अगर किताबी से

- Ahmad Fakhir
0 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Fakhir

As you were reading Shayari by Ahmad Fakhir

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Fakhir

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari