jis shakhs ko dekho wahi sargarm-e-safar hai | जिस शख़्स को देखो वही सरगर्म-ए-सफ़र है - Ahmad Fakhir

jis shakhs ko dekho wahi sargarm-e-safar hai
duniya kahi veeraan na ho jaaye ye dar hai

laayegi kabhi rang hawaon ki mohabbat
hum jis mein basar karte hain vo ret ka ghar hai

sehra mein kisi saaye ki ummeed na tooti
hasrat ki nigaahon mein bagoola bhi shajar hai

nikli hai gumaanon se yahi shakl yaqeen ki
jis samt ude gard wahi raahguzar hai

mahtaab to nikla hi nahin doob ke faakhir
lekin mere dariya mein wahi madd-o-jazar hai

जिस शख़्स को देखो वही सरगर्म-ए-सफ़र है
दुनिया कहीं वीरान न हो जाए ये डर है

लाएगी कभी रंग हवाओं की मोहब्बत
हम जिस में बसर करते हैं वो रेत का घर है

सहरा में किसी साए की उम्मीद न टूटी
हसरत की निगाहों में बगूला भी शजर है

निकली है गुमानों से यही शक्ल यक़ीं की
जिस सम्त उड़े गर्द वही राहगुज़र है

महताब तो निकला ही नहीं डूब के 'फ़ाख़िर'
लेकिन मिरे दरिया में वही मद्द-ओ-जज़र है

- Ahmad Fakhir
0 Likes

Dariya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Fakhir

As you were reading Shayari by Ahmad Fakhir

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Fakhir

Similar Moods

As you were reading Dariya Shayari Shayari