ai shaauq-e-dil bhi ek muamma ajeeb hai | ऐ शौक़-ए-दिल भी एक मुअम्मा अजीब है - Ahmad Fakhir

ai shaauq-e-dil bhi ek muamma ajeeb hai
sehra ko aandhiyon ki tamannaa ajeeb hai

maujon ke iztiraab ne dhadka diya tha dil
utre jo hum utar gaya dariya ajeeb hai

dushwaar ho gai hai ab apni shanaakht bhi
aaina kah raha hai ki chehra ajeeb hai

shaakhen jo mere sahan mein hain un mein fal na aaye
hum saaye ka darakht bhi kitna ajeeb hai

uthati hai ik faseel to girti hai ik faseel
faakhir ye chaahaton ka gharaunda ajeeb hai

ऐ शौक़-ए-दिल भी एक मुअम्मा अजीब है
सहरा को आँधियों की तमन्ना अजीब है

मौजों के इज़्तिराब ने धड़का दिया था दिल
उतरे जो हम उतर गया दरिया अजीब है

दुश्वार हो गई है अब अपनी शनाख़्त भी
आईना कह रहा है कि चेहरा अजीब है

शाख़ें जो मेरे सहन में हैं उन में फल न आए
हम साए का दरख़्त भी कितना अजीब है

उठती है इक फ़सील तो गिरती है इक फ़सील
'फ़ाख़िर' ये चाहतों का घरौंदा अजीब है

- Ahmad Fakhir
0 Likes

Shajar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Fakhir

As you were reading Shayari by Ahmad Fakhir

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Fakhir

Similar Moods

As you were reading Shajar Shayari Shayari