mera vujood hi jab khaar-o-khas ke andar tha | मिरा वजूद ही जब ख़ार-ओ-ख़स के अंदर था - Ahmad Iftikhar khatak

mera vujood hi jab khaar-o-khas ke andar tha
main us samay bhi tiri dastaras ke andar tha

main dekhta tha barabar amal ka radd-e-amal
dabii hui thi sadak shor bas ke andar tha

mujhe samjhte the kuch log barguzeeda shajar
havas-parast nahin tha havas ke andar tha

main kis tarah se mohabbat ki baat kar paata
vo khush-mizaj parinda qafas ke andar tha

pachaas saal masafat hi kaatna thi mujhe
vagarna marna to pehle baras ke andar tha

मिरा वजूद ही जब ख़ार-ओ-ख़स के अंदर था
मैं उस समय भी तिरी दस्तरस के अंदर था

मैं देखता था बराबर अमल का रद्द-ए-अमल
दबी हुई थी सड़क शोर बस के अंदर था

मुझे समझते थे कुछ लोग बरगुज़ीदा शजर
हवस-परस्त नहीं था हवस के अंदर था

मैं किस तरह से मोहब्बत की बात कर पाता
वो ख़ुश-मिज़ाज परिंदा क़फ़स के अंदर था

पचास साल मसाफ़त ही काटना थी मुझे
वगर्ना मरना तो पहले बरस के अंदर था

- Ahmad Iftikhar khatak
0 Likes

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Iftikhar khatak

As you were reading Shayari by Ahmad Iftikhar khatak

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Iftikhar khatak

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari