koi jal mein khush hai koi jaal mein | कोई जल में ख़ुश है कोई जाल में - Ahmad Javaid

koi jal mein khush hai koi jaal mein
mast hain sab apne apne haal mein

jaada-e-shamsheer ho ya farsh-e-gul
farq kab aaya hamaari chaal mein

ek aansu se kami aa jaayegi
ghaliban daryaon ke iqbaal mein

shola-e-sad-rang ki si kaifiyat
tujh mein hai ya tere khadd-o-khaal mein

ek lamha mera yaar-e-ghaar hai
is museebat-gaah-e-maah-o-saal mein

ye jo mere jee ko chain aata nahin
hind mein iran mein bangaal mein

roz ka rona laga hai apne saath
hum ne aankhen baandh leen rumal mein

deeda o dil ne kiya hai kaam band
thap hai kaarobaar is hartal mein

is nigaah-e-naaz ki ek ek baat
hai hamaare peer ke aqwaal mein

dil pe saaya hai kisi sultaan ka
warna kya rakha hai is kangal mein

कोई जल में ख़ुश है कोई जाल में
मस्त हैं सब अपने अपने हाल में

जादा-ए-शमशीर हो या फ़र्श-ए-गुल
फ़र्क़ कब आया हमारी चाल में

एक आँसू से कमी आ जाएगी
ग़ालिबन दरियाओं के इक़बाल में

शोला-ए-सद-रंग की सी कैफ़ियत
तुझ में है या तेरे ख़द्द-ओ-ख़ाल में

एक लम्हा मेरा यार-ए-ग़ार है
इस मुसीबत-गाह-ए-माह-ओ-साल में

ये जो मेरे जी को चैन आता नहीं
हिन्द में ईरान में बंगाल में

रोज़ का रोना लगा है अपने साथ
हम ने आँखें बाँध लीं रुमाल में

दीदा ओ दिल ने किया है काम बंद
ठप है कारोबार इस हड़ताल में

इस निगाह-ए-नाज़ की एक एक बात
है हमारे पीर के अक़वाल में

दिल पे साया है किसी सुल्तान का
वर्ना क्या रक्खा है इस कंगाल में

- Ahmad Javaid
0 Likes

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Javaid

As you were reading Shayari by Ahmad Javaid

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Javaid

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari