dil aaina hai magar ik nigaah karne ko | दिल आईना है मगर इक निगाह करने को - Ahmad Javaid

dil aaina hai magar ik nigaah karne ko
ye ghar banaya hai us ne tabaah karne ko

gul-e-visaal abhi dekha na tha ki aa pahunchee
shab-e-firaq bhi aankhen siyaah karne ko

galeem o takht utaare hain ghaib se us ne
mujhe faqeer tujhe baadshaah karne ko

saje hain dasht o biyaabaan ajab qareene se
tujhe sawaar mujhe gard-e-raah karne ko

mili mujhe tiri hum-saayegi so duniya mein
tameez-e-martaba-e-koh-o-kaah karne ko

dameeda har shajr-e-gard-baad nakhl-e-junoon
hamaare chaak-e-garebaan se raah karne ko

dil-e-gudaakhta o chashm-e-tar hi kaafi hai
futooh-e-mamlakat-e-mehr-o-maah karne ko

दिल आईना है मगर इक निगाह करने को
ये घर बनाया है उस ने तबाह करने को

गुल-ए-विसाल अभी देखा न था कि आ पहुँची
शब-ए-फ़िराक़ भी आँखें सियाह करने को

गलीम ओ तख़्त उतारे हैं ग़ैब से उस ने
मुझे फ़क़ीर तुझे बादशाह करने को

सजे हैं दश्त ओ बयाबाँ अजब क़रीने से
तुझे सवार मुझे गर्द-ए-राह करने को

मिली मुझे तिरी हम-साएगी सो दुनिया में
तमीज़-ए-मर्तबा-ए-कोह-ओ-काह करने को

दमीदा हर शजर-ए-गर्द-बाद नख़्ल-ए-जुनूँ
हमारे चाक-ए-गरेबाँ से राह करने को

दिल-ए-गुदाख़्ता ओ चश्म-ए-तर ही काफ़ी है
फ़ुतूह-ए-ममलिकत-ए-मेहर-ओ-माह करने को

- Ahmad Javaid
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Javaid

As you were reading Shayari by Ahmad Javaid

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Javaid

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari