aansu ki tarah deeda-e-pur-aab mein rahna | आँसू की तरह दीदा-ए-पुर-आब में रहना - Ahmad Javaid

aansu ki tarah deeda-e-pur-aab mein rahna
har gaam mujhe khaana-e-sailaab mein rahna

vo abroo-e-khandaar nazar aaye to samjhe
aankhon ki tarah saaya-e-mehraab mein rahna

ghaflat hi mein kate hain shab-o-roz hamaare
har aan kisi dhyaan kisi khwaab mein rahna

din bhar kisi deewaar ke saaye mein tag-o-taaz
shab justujoo-e-chaadar-e-mehtaab mein rahna

veeraana-e-duniya mein guzarte hain mere din
raaton ko rawaaq-e-dil-e-betaab mein rahna

mitti to har ik haal mein mitti hi rahegi
kya taat mein kya qaaqum o sanjaab mein rahna

ghar aur biyaabaan mein koi farq nahin hai
laazim hai magar ishq ke aadaab mein rahna

ik pal ko bhi aankhen na lagin khaana-e-dil mein
har lamha nigahbaani-e-asbaab mein rahna

आँसू की तरह दीदा-ए-पुर-आब में रहना
हर गाम मुझे ख़ाना-ए-सैलाब में रहना

वो अबरू-ए-ख़मदार नज़र आए तो समझे
आँखों की तरह साया-ए-मेहराब में रहना

ग़फ़लत ही में कटते हैं शब-ओ-रोज़ हमारे
हर आन किसी ध्यान किसी ख़्वाब में रहना

दिन भर किसी दीवार के साए में तग-ओ-ताज़
शब जुस्तुजू-ए-चादर-ए-महताब में रहना

वीराना-ए-दुनिया में गुज़रते हैं मिरे दिन
रातों को रवाक़-ए-दिल-ए-बेताब में रहना

मिट्टी तो हर इक हाल में मिट्टी ही रहेगी
क्या टाट में क्या क़ाक़ुम ओ संजाब में रहना

घर और बयाबाँ में कोई फ़र्क़ नहीं है
लाज़िम है मगर इश्क़ के आदाब में रहना

इक पल को भी आँखें न लगीं ख़ाना-ए-दिल में
हर लम्हा निगहबानी-ए-असबाब में रहना

- Ahmad Javaid
0 Likes

Emotional Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Javaid

As you were reading Shayari by Ahmad Javaid

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Javaid

Similar Moods

As you were reading Emotional Shayari Shayari