mujh se bada hai mera haal | मुझ से बड़ा है मेरा हाल - Ahmad Javaid

mujh se bada hai mera haal
tujh se chhoota tera khayal

chaar pahar ki hai ye raat
aur judaai ke sau saal

haath utha kar dil par se
aankhon par rakha rumal

nang hai takiyedaaron ka
paa-e-talb ya dast-e-sawaal

man jo kehta hai mat sun
ya phir tan par mitti daal

ujla ujla tera roop
dhundle dhundle khadd-o-khaal

sukh ki khaatir dukh mat bech
jaal ke peeche jaal na daal

raaj-singhaasan mera dil
aan biraaje hain jagpaal

kis din ghar aaya jaaved
kab paaya hai us ko bahaal

मुझ से बड़ा है मेरा हाल
तुझ से छूटा तेरा ख़याल

चार पहर की है ये रात
और जुदाई के सौ साल

हाथ उठा कर दिल पर से
आँखों पर रक्खा रुमाल

नंग है तकियेदारों का
पा-ए-तलब या दस्त-ए-सवाल

मन जो कहता है मत सुन
या फिर तन पर मिट्टी डाल

उजला उजला तेरा रूप
धुँदले धुँदले ख़द्द-ओ-ख़ाल

सुख की ख़ातिर दुख मत बेच
जाल के पीछे जाल न डाल

राज-सिंघासन मेरा दिल
आन बिराजे हैं जगपाल

किस दिन घर आया 'जावेद'
कब पाया है उस को बहाल

- Ahmad Javaid
0 Likes

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Javaid

As you were reading Shayari by Ahmad Javaid

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Javaid

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari