hargiz na raah paai farda-o-dee ne dil par | हरगिज़ न राह पाई फ़र्दा-ओ-दी ने दिल पर - Ahmad Javaid

hargiz na raah paai farda-o-dee ne dil par
rahti hai ek haalat baarah maheene dil par

sakte mein hain mah-o-mehr dariya pade hain be-bahr
hai sakht ghair-mauzoon duniya zameen-e-dil par

shola charaagh mein hai sauda dimaagh mein hai
saabit qadam hoon ab tak deen-e-mubeen-e-dil par

ya-ayyohal-majaazeeb hai bas-ki zer-e-tarteeb
majmooatul-fatawa qaul-e-mateen-e-dil par

likh lo ye meri raay kya kya sitam na dhaaye
kal dil ne aadmi par aaj aadmi ne dil par

ye ranj na-kashida ye jeb na-dareeda
ai ishq rehm haan rehm in tarkeen-e-dil par

maano ye ghar na chhodo duniya ko dekhte ho
jo kuch guzar chuki hai is na-makeen-e-dil par

ik sar hai na-kashooda ik qaul na-shanooda
ik naghma na-sarooda tarz-e-naveen-e-dil par

padta hai jasta jasta madhham sa aur shikasta
ik maah-e-neelmeen ka partav nageen-e-dil par

sau baar idhar se guzra vo aatishi chaman sa
ik burg-e-gul na rakha dast-e-yameen-e-dil par

khoon-basta chashm-e-haira'n paivasta la'n-gardaan
be-deed balki be-dard balki kameene dil par

toofaan utha rakha tha aankhon ne waah-wa ka
us ki nazar nahin thi kal aafreen-e-dil par

rangeen to bahut hai duniya magar mahaashay
dhabbe se pad gaye hain kuch aasteen-e-dil par

vo maah-e-naazneen hai ya sarv-aatisheen hai
ya fitna-e-qayaamat barpa zameen-e-dil par

sab na-malaamaton ko sab be-karamaton ko
sab sar-salaamaton ko laana hai deen-e-dil par

jaaved ko dikha kar kehta hai sab se dilbar
uddham macha rakha tha in bhaai-ji ne dil par

faarooqi aur ahmad-mushtaaq ko tahayyat
shaakh-e-ghamgeen-e-dil par hisn-e-haseen-e-dil par

हरगिज़ न राह पाई फ़र्दा-ओ-दी ने दिल पर
रहती है एक हालत बारह महीने दिल पर

सकते में हैं मह-ओ-मेहर दरिया पड़े हैं बे-बहर
है सख़्त ग़ैर-मौज़ूँ दुनिया ज़मीन-ए-दिल पर

शो'ला चराग़ में है सौदा दिमाग़ में है
साबित क़दम हूँ अब तक दीन-ए-मुबीं-ए-दिल पर

या-अय्योहल-मजाज़ीब है बस-कि ज़ेर-ए-तर्तीब
मजमूअतुल-फ़तावा क़ौल-ए-मतीन-ए-दिल पर

लिख लो ये मेरी राय क्या क्या सितम न ढाए
कल दिल ने आदमी पर आज आदमी ने दिल पर

ये रंज ना-कशीदा ये जेब ना-दरीदा
ऐ इश्क़ रहम हाँ रहम इन तारकीन-ए-दिल पर

मानो ये घर न छोड़ो दुनिया को देखते हो
जो कुछ गुज़र चुकी है इस ना-मकीन-ए-दिल पर

इक सर है ना-कशूदा इक क़ौल ना-शनूदा
इक नग़्मा ना-सरूदा तर्ज़-ए-नवीन-ए-दिल पर

पड़ता है जस्ता जस्ता मद्धम सा और शिकस्ता
इक माह-ए-नीलमीं का परतव नगीन-ए-दिल पर

सौ बार इधर से गुज़रा वो आतिशीं चमन सा
इक बर्ग-ए-गुल न रक्खा दस्त-ए-यमीन-ए-दिल पर

ख़ूँ-बस्ता चश्म-ए-हैराँ पैवस्ता ला'न-गर्दां
बे-दीद बल्कि बे-दर्द बल्कि कमीने दिल पर

तूफ़ान उठा रखा था आँखों ने वाह-वा का
उस की नज़र नहीं थी कल आफ़रीन-ए-दिल पर

रंगीन तो बहुत है दुनिया मगर महाशय
धब्बे से पड़ गए हैं कुछ आस्तीन-ए-दिल पर

वो माह-ए-नाज़नीं है या सर्व-आतिशीं है
या फ़ित्ना-ए-क़यामत बरपा ज़मीन-ए-दिल पर

सब ना-मलामतों को सब बे-करामतों को
सब सर-सलामतों को लाना है दीन-ए-दिल पर

'जावेद' को दिखा कर कहता है सब से दिलबर
ऊधम मचा रखा था इन भाई-जी ने दिल पर

फ़ारूक़ी और अहमद-मुश्ताक़ को तहय्यत
शाख़-ए-ग़मगीन-ए-दिल पर हिस्न-ए-हसीन-ए-दिल पर

- Ahmad Javaid
0 Likes

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Javaid

As you were reading Shayari by Ahmad Javaid

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Javaid

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari